CigarettesCheap cigarrettesCheap cigarettes online

You are here: Home // Lyrics // Once Upon a time in Mumbai songs Lyrics

Once Upon a time in Mumbai songs Lyrics

Hindi movie once upon a time in Mumbai songs lyrics:

Once upon a time in Mumbai song Pee Loon Lyrics:

Pee loon tere neelay neelay nainun se shabnam
Pee loon tere geelay geelay hontun ki sargam
Pee loon hai peenay ka mausam
Tere sang ishq taari hai, Tere sang ik khumari hai
Tere sang chain bhi mujhko, Tere sang bekarari hai
Tere bin jee nahi lagda, tere bin jee nahi sakda
Tujh pe hai haare maine vaare do jahan

Kurbaan, tera kurbaan

Hosh mein rahun kyun aaj main, Tu meri baahun mein simti hai

Mujh mein samayi hai yun, Jis tarahn ki koi hum nadi

Tu mere seenay mein chupti hai, sagar tumhara main hoon
Pee loon teri dheemi dheemi lehrun ki cham cham
Pee loon teri saundi saundi sansun ko har dum
Pee loon hai peenay ka mausam
Tere sang ishq taari hai, Tere sang ik khumari hai
Tere sang chain bhi mujhko, Tere sang bekarari hai

Kurbaan…

Meharma…

K main to kurbaan…

Sun le zara!

Once upon a time in Mumbai song Tum jo aaye Lyrics:

Paya maine, paya tumhe, rab ne milaya tumhe,

Hontun pe sajaya tumhe, nag mein sagaya tumhe
Paya maine, paya tumhe, sab se chupaya tumhe,

Sapna banaya tumhe, neendun mein bulaya tumhe

Tum jo aaye zindagi mein baat ban gayi
Ishq mazhab, ishq meri zaat ban gayi

Paya maine, paya tumhe, rab ne milaya tumhe,

Hontun pe sajaya tumhe, nag mein sagaya tumhe
Paya maine, paya tumhe, sab se chupaya tumhe,

Sapna banaya tumhe, neendun mein bulaya tumhe

Ho tum jo aaye zindagi mein baat ban gayi
Sapne teri chahaton ke, sapne teri chahaton ke
Dekhti hoon ab gayi
Din hai sona aur chaandi raat ban gayi

Chahatun ka maza, fasalun mein nahin
Aa chupa loon tumhe hauslon mein kahin
Sab se upar likha, hai tere naam ko
Khwaishon se jude silsilon mein kahin

Khwaishein milne ki tumse, khwaishein milne ki tumse
Roz hoti hai nayi
Mere dil ki jeet meri baat ban gayi
Hoo tum jo aaye zindagi mein baat ban gayi

Paya maine, paya tumhe, rab ne milaya tumhe,

Hontun pe sajaya tumhe, nag mein sagaya tumhe
Paya maine, paya tumhe, sab se chupaya tumhe,

Sapna banaya tumhe, neendun mein bulaya tumhe

Zindagi bewafa hai yeh maana magar
Chod kar raah mein jaoge tum agar
Cheen launga main aasman se tumhe
Soona hoga na yeh, do dilon ka nagar

Raunke hain dil ke dar pe, raunke hain dil ke dar pe
Dhadkane hain surmayi
Meri kismat bhi tumhari, saath ban gayi
Hoo tum jo aaye zindagi mein baat ban gayi
Ishq mazhab, ishq meri zaat ban gayi
Sapne teri chahaton ke, sapne teri chahaton ke
Dekhti hoon ab gayi
Din hai sona aur chaandi raat ban gayi
Hoo tum jo aaye zindagi mein baat ban gayi

Paya maine, paya tumhe, rab ne milaya tumhe,

Hontun pe sajaya tumhe, nag mein sagaya tumhe
Paya maine, paya tumhe, sab se chupaya tumhe,

Sapna banaya tumhe, neendun mein bulaya tumhe

Once upon a time in mumbai song Parda Lyrics:

Duniya mein, logon ko
Dhokha kabhi ho jaata hai
Aankhon hi, aankhon mein
Yaaron ka dil kho jaata hai
Duniya mein, logon ko
Dhokha kabhi ho jaata hai
Aankhon hi, aankhon mein
Yaaron ka dil kho jaata hai

Do dil, dono jawan
Aankhon ka hai yeh beyaan
Dono ke darmiyaan, koi bhi ho na yahan
Parda parda haan parda parda haan apno se kaisa parda
Parda parda haan parda parda haan apno se kaisa parda
Monica O my darling
O Monica O my darling

Dilbar ki fitrat mein, dhoka bhi hai aur chahat bhi
Jaan jaaye toh jaaye, sochun kyun jab maine ulfat ki
Haye dDilbar ki fitrat mein, dhoka bhi hai aur chahat bhi
Jaan jaaye toh jaaye, sochun kyun jab maine ulfat ki
Jaaye bhi toh kahan, dushman hai saara jahan
Jispe bhi ho gumaar, kehna tu uska yahan
Parda parda haan parda parda haan apno se kaisa parda
Parda parda haan parda parda haan apno se kaisa parda
Monica O my darling
O Monica O my darling

Woh aa gaya, dekho dekho woh aa gaya

Hulchul si har pal hai, betaab apni jawani hai
Beakal main beakal tu, bedard dil ki kahani hai
Haye hulchul si har pal hai, betaab apni jawani hai
Beakal main beakal tu, bedard dil ki kahani hai
Uthe toh jaise dhua, yeh dil hai tera pataa
Aaja rehle yahan, jaayega ab tu kahan
Parda parda haan parda parda haan apno se kaisa parda
Parda parda haan parda parda haan apno se kaisa parda
Monica O my darling
O Monica O my darling

Once upon a time in mumbai song I am in love Lyrics:

Ho aaj kal tanha main kahan hoon, saath chalta koi
Uski hame aadat hone ki aadat ho gayi
Woh jo mila hai jab se uski sauhbat ho gayi
Ik zara masoom se ke dil ki aafat ho gayi
Sun le zara, sun le zara
Dil ne kaha, itna bas mujhe bataa hai
I am in love, I am in love
Tu hi bataa jaane kya mujhe hua hai

Usi boondun mein tu hai, aankhein moondu mein tu hai
Dishaayon das tu hai, tu hi hai bas tu hai
Dil ka shehar tu hai, acchi khabar tu hai
Fursat ki hassi tu hai, jo bhi thi kami tu hai
Usi boondun mein tu hai, aankhein moondu mein tu hai
Dishaayon das tu hai, tu hi hai bas tu hai
Dil ka shehar tu hai, acchi khabar tu hai
Fursat ki hassi tu hai, jo bhi thi kami tu hai
Tu hai mera, tu hai mera
Kuch main jaanu na, itna bas mujhe pataa hai
I am in love, I am in love
Tu hi bataa jaane kya mujhe hua hai

Baadal pe chalta hoon main, girta sambhalta hoon main
Khwaishein karta hoon main, khone se darta hoon main
Jaaga na soya hoon main, musafir khoya hoon main
Kuch sarfira sa hoon main, budhu zara sa hoon main

Dil kya kare, dil kya kare
Tere bina, itna bas mujhe bataa hai
I am in love, I am in love
Tu hi bataa jaane kya mujhe hua hai

Once upon a time in Mumbai song Babu Rao Lyrics:

Akkha yeh shehar bada
Apni jaib mein pada
Khulla raaj hai bas kya
Ungli yeh trigger pe hai
Daring beech ghar mein hai
Apni taath hai bas kya
O apna time hai, aish cash bhi zabardast hai
Underground har cheez ka yahan bandobast hai
Babu rao mast hai, mast hai, mast mast hai

O kal tak to chaar sikke hi jaib mein khankhana rahe the, noteon ke bistar aaj hai
Kaale dandhe ke bazaar mein dabikta kabhi nahi hai, apne sar pe woh taaz hai
Kal kal tak to chaar sikke hi jaib mein khankhana rahe the, noteon ke bistar aaj hai
Kaale dandhe ke bazaar mein dabikta kabhi nahi hai, apne sar pe woh taaz hai
Rokey jo koi agar
Seedha thok de udhar
6 foot gaad de bas kya
Ungli yeh trigger pe hai
Daring beech ghar mein hai
Apni taath hai bas kya
Ae black white mein, wrong right sab adjust hai
Underground har cheez ka yahan bandobast hai
Babu rao mast hai, mast hai, mast mast hai

O duniya yeh matlabi hai, badi kameeni jaga hai yaaro, maange kuch milta hai kahan
Jo chahe yeh woh collar pakad ke hum toh nikaalte hain, watt apna chalta hai yahan
O duniya yeh matlabi hai, badi kameeni jaga hai yaaro, maange kuch milta hai kahan
Jo chahe yeh woh collar pakad ke hum toh nikaalte hain, watt apna chalta hai yahan
O apne pair ke tale
System saara yeh chale
Jee le phaad ke bas kya
Ungli yeh trigger pe hai
Daring beech ghar mein hai
Apni taath hai bas kya
O beech line mein hain sabi khade apun first hai
Underground har cheez ka yahan bandobast hai
Babu rao mast hai, mast hai, mast mast hai

Share and Enjoy:
  • Print
  • Digg
  • Sphinn
  • del.icio.us
  • Facebook
  • Mixx
  • Google Bookmarks
  • Faves
  • Ping.fm
  • Twitter

You may also like:

Tags: , , , ,

59 Responses to " Once Upon a time in Mumbai songs Lyrics "

  1. tahsin says:

    i was neva in love bt after hearing this song am in love…………..

  2. whitening says:

    very nice blog! keep up the good work!

  3. BHAKTI says:

    pyaa meine pyaa and pee loon i like this songs.

  4. Samiksha says:

    Superb songs & very romantic

  5. aisha says:

    after listen the song i m in love,this my favorite song

  6. the songs are simply superb.do you know this “pee loon” is one of my favourite songs.

  7. most beutiful song i hav ever heard.Inspirational for those who r in love.

  8. Sweety Kumar says:

    As i m in love this song is mostly liked me and my bf who is my life.

  9. faizal ghanchi says:

    as a m in luv this song is mostly like me n ma gf who is ma life

Leave a Reply

Copyright © 2010 Buy cigarettes cheap online. All rights reserved.