
Main kabhee batlaata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yun to main dikhlaata nahin
Teri parwah karta hoon main maa
Tujhe sab hai pata haina maa
Tujhe sab hai pataaaa
Meri maa
Bheer main yun na choro mujhe
Ghar laut kay bhee ana paun maa
Bhej na itna door mujh ko too
Yaad bhee tujh ko aa na paun maa
Kya itna bura hoon main maa
Kya itna buraaaa
Meri maa
Jab bhee kabhee papa mujhe
Jo zor se jhoola jhulaate hain maa
Meri nazar dhoonde tujhe
Sochun yahi too aa kay thame gi maa
Un se main yeh kehta nahin
Par main seham jaata hoon maa
Chehre pe aane deta nahin
Dil hi dil main ghabraata hoon maa
Tujhe sab hai pata haina maa
Tujhe sab hai pata
Meri maa
oooohhh
Main kabhee batlaata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yun to main dikhlata nahin
Teri parwah karta hoon main maa
Tujhe sab hai pata haina maa
Tujhe sab hai pataaaa
Meri maa