CigarettesCheap cigarrettesCheap cigarettes online

You are here: Home // Lyrics // Lamhaa Songs Lyrics

Lamhaa Songs Lyrics

Bollywood Movie Lamhaa Songs Lyrics

Bollywood Movie Lamhaa

Lamhaa Song Rehmat Zara Lyrics:

Ik pal mila kabhee khushnuma, Ik pal mila kabhee ghamzada
Ik pal rahin kabhee kheriyat, Ik pal hua kabhee hadsaa
Mausam kuch anjane aise mile yahan, Dil ko jo de gaye khamoshiyan
Mausam kuch pehchane de gaye sargoshiyan
Yun hi raaten dhalti hain, Yun hi hoti subah
Rehmat zara, Kar de khuda
Rehmat zara, Hum par tu kar de khuda

Ik pal mila kabhee khushnuma, Ik pal mila kabhee ghamzada
Ik pal rahin kabhee kheriyat, Ik pal hua kabhee hadsaa

Umren katti rehti hain, dhoop kabhee barish mein
Ghum ki rut bhi aati hain, khushiyon ki khuwaish mein
Aksar lamhe katte hain, chahat ya ranjish mein
Har dum kaliyan khilti hain, kanton ki bandish mein

Ik pal kabhi sukun hai, Ik pal kabhi hai bekali
Ik pal kabhi junoon hai, Ik pal kabhi hai bebasi

Yeh hi azal se hota raha hai, Yun hi jiya har ik insan

Rehmat zara, Kar de khuda
Rehmat zara, Hum par tu kar de khuda

Mausam kuch anjane aise mile yahan, Dil ko jo de gaye khamoshiyan
Mausam kuch pehchane de gaye sargoshiyan
Yun hi raaten dhalti hain, Yun hi hoti subah
Rehmat zara, Kar de khuda
Rehmat zara, Hum par tu kar de khuda

Lamhaa Song Main Kaun hoon Lyrics:

Bulla kahe tu kuch bhee nahin, Main bhee kahun main kuch bhee nahin
Bulla kahe tu kuch bhee nahin, Main bhee kahun main kuch bhee nahin
Na des mera, na mitti meri, Main hoon banjara, Meri hi zameen pe
Main kaun hoon, main kon hoon
Kyun apne jahan mein, Main hoon ajnabee
Main kaun hoon, main kaun hoon

This long cannot go
Panditun ke naam par, Kashmeeriat ke naam par, Azaadi ke naam par
Sabhee shamil hain, sabhee shamil hain

Naa jaane kyun aisa ho gaya, Begani hui apni jagah
Naa jaane kyun apni hi taraf, Uthti hain sabhi ki ungliyaan
Ab to yakeen khud pe bhi nahin, Anjaana hai har lamhaa yahaan
Nazre churaaye, aankhein jhukaaye, Kab tak jeeye hum iss tarah
Kaisi khata thi, jo yeh sazaa di, Humko kahin ka naa rakha
Jannat thi apni sarzameen, Sufi humko kehte sabhi
Ab to koi, mujrim koi, atanki keh raha
Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyon apne jahaan mein, Main hoon ajnabee
Main kaun hoon, main kaun hoon

Na des mera, na mitti meri, Main hoon banjara, Meri hi zameen pe
Main kaun hoon, main kon hoon

Chehre to sab k hain haseen, Par dil mein hai bas aag hi
Bujhti nahi jo jal rahi, Jo puche barhaan

Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyon apne jahaan mein, Main hoon ajnabee
Main kaun hoon, main kaun hoon

Lamhaa Song Madno Lyrics:

Hai dil ko teri aarzu, Par main tujhe na paa sakun
Hai dil ko teri justaju, Par main tujhe na paa sakun
Main hoon shab tu subah, Dono jur ke judaa
Main hoon lab tu dua, Dono jur ke judaa
Madno, mashuko, dilbaro, madno

Hai dil ko teri aarzu, Par main tujhe na paa sakun
Hai dil ko teri justaju, Par main tujhe na paa sakun
Main hoon shab tu subah, Dono jur ke judaa
Main hoon lab tu dua, Dono jur ke judaa
Madno, mashuko, dilbaro, madno

Kai khuwab dil tujhko le kar sajaye, Par khauf yeh bhee kahin par sataye
Ghar yeh bhi toote to phir hoga kya re, Mujhe raas aati hain khushiyan kahan re
Kyon dil ko dukhana bewajah madno re, Kyon dil ko dukhana bewajah
Phir aansu bahana ik dafa, Phir aansu bahana ik dafa
Main hoon shab tu subah, Dono jur ke judaa
Main hoon lab tu dua, Dono jur ke judaa
Madno, mashuko, dilbaro, madno

Tu hi to har pal bandha hai, Lamhun ki in zanjerun mein
Tu hi to har dum raha hai, Khuwabun ki har taberun mein
Tu hi to har din dikha hai, Dhundli ujli tasverun mein
Tere hi to hai khusbu mujh mein haan madno re
Tere hi to hai khusboo mujh mein haan
Ab tu hi to har su har jagah, Ab tu hi to har su har jagah
Bhee chus shab sa subah, Meelyth doshvai judaa
Bhee chus lab sa dua, Meelyth doshvai judaa
Madno, mashuko, dilbaro, madno..

Haan tera saya to main hun, Par sang tere na reh sakun
Haan is safar me to main hun, Par sang tere na ruk sakun
Main hoon shab tu subah, Dono jur ke judaa
Main hoon lab tu dua, Dono jur ke judaa
Madno, mashuko, dilbaro, madno

Lamhaa Song Salaam Zindagi Lyrics:

Jis cheez ko pane ki thi umeed kho chuki, Jis cheez ko pane ki thi umeed kho chuki
Uss cheez ko pa kar bohat dil ko khushi hui
Salaam zindagi!

Hum saath mein hain aur saath rahen, Bas dua yeh karte hain
Abaad rahe apni muhabat, Rab se yeh kaha karte hain

Jis cheez ko paane ki thi umeed kho chuki, Uss cheez ko paakar bahut dil ko khushi hui

Salaam zindagi!

Hum se yahan zameen ka falak, Khud hai keh raha
Ek din main le kar aunga, Woh amn ki subah
Hai jiski aarzoo main, Yeh aankhein jagi hui
Hai jiski aarzoo main, Yeh aankhein jagi hui

Aankhon ne yahan dekhi hain khuwabun ki bastiyan
Gum aur udasiyun me bhi pai hai mastiyan
Hai andhiyun mein bhee, kahin shama jali hui

Salaam zindagi!

Jis cheez ko paane ki thi umeed kho chuki

Uss cheez ko pa kar bahut dil ko khushi hui

Share and Enjoy:
  • Print
  • Digg
  • Sphinn
  • del.icio.us
  • Facebook
  • Mixx
  • Google Bookmarks
  • Faves
  • Ping.fm
  • Twitter

You may also like:

Tags: , , ,

2 Responses to " Lamhaa Songs Lyrics "

  1. ishita says:

    i love this song… d feelings r expressed truly in dis song.

  2. kARAN says:

    i love this song hai dil ko teri aarzoo i love this song heads of “K”.

Leave a Reply

Copyright © 2010 Buy cigarettes cheap online. All rights reserved.